ad

Sunday 28 September 2014

Munawwar Rana

isi ko ghar mila hisse men ya koee dukan aayi
main ghar men sabase chhota tha mere hisse men man aayi ...


labon par uske kabhi bad'dua nahi hoti,
bas ek maaN hai jo kabhi khafa nahi hoti...


is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai,
maaN bahut gusee mein hoti hai to ro deti hai...


maine rote hue poonchhe thhe kisi din aansu
muddaton maaN ne nahi dhoya dupatta apna..


abhi zinda hai maaN meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai...


jab bhi kashti meri sailab mein aa jaati hai
maaN dua karti hui khwaab mein aa jaati hai


aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maaN ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya


meri khwahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun


'munawwar' maaN ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achchhi nahi hoti


lipat jaata hoon maaN se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskurati hai


Munawwar Rana

No comments:

Post a Comment